">
Manzil lyrics is penned by Gurvansh Gujral, sung by Tanya Mathur, Jatt Prabhjot Gurvansh Gujral, music composed by Blurface, starring Tanya Mathur, Jatt Prabhjot & Gurvansh Gujral.
Song Lyrics
Jude zameen se Aasmaan pe rakhe pair Pehle teri mehnat phir hoti rab di mehr Lekeer ka fakeer banne ka tha na shauk Tabhi to ban paya aap sabka Jatt Prabhjot To good morning friends Sat sri akal namaste Badon ko pairi pauna chhoton ko hello Umar 10 tera bhai tass se mass School ke khoob maze maze loot Aur padhne mein tha main mast Shauk the do Ghoomna phirna aur padhai Baaki aankhon se dikhta na thi utni kamayi Jo le jaaye mujhe baahar dilaye kapde Main paagal sa bachcha Lagta tha unse jhagadne Pyar karne se zyada papa majboor the Tabhi to dost yaar mere mujhse door the Purane mere kapde purane joote Purani yeh kitabein Woh hanste the mere munh pe Kyun be ismein meri kya hai galti Par jald hi main seekh gaya Majboori bhi ek galti Chalna sikhaya tujhe daudna hai Jeena sikhaya tujhe jeetna hai Kehna sikhaya tujhe cheekhna hai Tukhe seekhna hai Chalna sikhaya tujhe daudna hai Jeena sikhaya tujhe jeetna hai Kehna sikhaya tujhe cheekhna hai Tukhe seekhna hai Tukhe jeetna hai Kuchh hi samay nave kaam pe main jaane laga Umar thi 12 22 ki soch ko laane laga Kam thoda khaane laga Aansu ko dabaane laga Apne se bhaari wazan main uthane laga Padhne ka shauk kaam karne ki majboori thi Raat raat bhar padhai se Kamzor aankhein ho rahi thi Meri umar mein laundon ke toot’te dil Yahan meri aankhon ke saamne Meri dukaan toot rahi thi Woh bhi tha samay room ek rehte log 5 Wahin tha khaana peena wahi bani apni dukaan Kayi baar socha ki le leta hoon apni jaan Par imaan bola papa ki baat ka banega kaun shaan Zaruratein poori hon na hon Par meri fees bhari jaati thi Meri maa ki aankhon mein woh ek tasveer Mujhe hamesha dikhlaati thi Ke mujhe hona kaamyaab Karna kanyadaan meri chhoti behan Meri jaan mera samman Mere ghar ki khushiyon ko wapas deni jaan seedhi baat Waapas lana apna aatmsamman Chalna sikhaya tujhe daudna hai Jeena sikhaya tujhe jeetna hai Kehna sikhaya tujhe cheekhna hai Tukhe seekhna hai Chalna sikhaya tujhe daudna hai Jeena sikhaya tujhe jeetna hai Kehna sikhaya tujhe cheekhna hai Tukhe seekhna hai Tukhe jeetna hai Poori padhai kiya thi naukri ki talaash Saal bhar ghoome baby bana na paaye koyi baat 4000 koyi deta 5000 Isse zyada dukaan pe mere chhotu ki thi pagaar Kaam pakde jo bhi mujhe takkre Na the koyi nakhre Kyun ki saaf mere sapne Sath mere apne Sath kiya kaam sath faila naam Aaj bhi thok ke salaam apne bhaiyon ko Jinhone diya sath Jinhone mere bure waqt mein bataya hath Yeh zamana hath kaatne walon ka Jaat-paat mein baatne walon mein se Na tha koyi mera yaar Dhool vi chatt layi duniya vi takk layi Koyi kise da yaar nai jadd hundi ae takleef Yaar pra vi nakli eh gall ch koyi shakk ni Paalo tussi kutta par paalo kade sapp nai Poori zaruratein ab ho rahi thi Meri maa bhi ab sukun se so rahi thi Par mere andar ka jwala tha Mujhe jo sata raha tha Usse meri neendein ab kho rahi thi Kaam kar raha hoon ghar bhi theek hai Yaar dost kehte toone paa li jeet hai Par aana mujhe rona yeh kaisa mera naseeb Kaamyaabi ke baad bhi mujhe mili na koyi jeeta hai Dum mera ghut raha Maa mujhe poochhti Raaton ko mujhe neend nahi kaam mein aati Sochti santushti nahi hai Kisi bhi baat ki mujhe khushi kyun nahi hai Chardiwari ko chhod karna aasmaan ki sawari Maine soch liya yeh kaam mere bas ka nahi hai Zindagi jeeni hai ik baar jee shaan se Manzil hai door par lagaam tere hath mein hai Zinda hai tu kyun ki khuda tere sath mein hai Na dar tere kala tere hath mein hai Kaamyaab banda kaam ke baad bhi khush nahi hai To woh kaamyaab hi nahi hai Iklauti zindagi ko ro kar jeena Achchi baat to nahi hai Job se off lekar savings ko tod diya Kar explore mujhe yeh hai maine thaan liya Ghar walon ne bhi mujhe poora support kiya Soch liya gaadi maine Laddakh ko mod liya Lagaya go pro Jaane laga slow slow Leta raha photo Ab leta raha slow mo Dekha maine jo jo Main chahta sab kuchh mera ho Main chahta har koyi dekhe kabhi Banaya pehla video Start to end maine poora record kiya Ghar aake dekha edit kiya phir upload kiya Sach bataun woh pehla zindagi ka din tha Jab har ek lamha maine poori khushi se jiya Chalna sikhaya tujhe daudna hai Jeena sikhaya tujhe jeetna hai Kehna sikhaya tujhe cheekhna hai Tukhe seekhna hai Chalna sikhaya tujhe daudna hai Jeena sikhaya tujhe jeetna hai Kehna sikhaya tujhe cheekhna hai Tukhe seekhna hai Tukhe jeetna hai Back to square one one on one Shuru huyi jung jo thi meri khud se Kamaun thoda kam par karun kaam Jismein lage mann Yeh maine thaan liya man se Back to back phir video banane laga Chhutti to milni nai thi salary katwane laga Daant bhi khaane laga par baat nai koyi Dilli Manali Mussoorie to ghoome mila Dekh dekh views badhne lage Log mere naam se mujhe jaanne lage Road pe rok ke mujhe bulane lage Phir ek din hua kuchh aisa Meri aankhon se aansu na ruke Paa li jeet bhale aa jaaye maut ab Hua kaamyaab na bacha kisi ka khauf ab Shohrat paa li maine daulat paa li Papa ki chhaati chaudi ke saame tikega kaun ab Record kiya fastest growing youth Youtuber ki lagi bet Time hua mujhe aaye 2 saal 2 saal mein tera bhai 1 million paar Diya shot maine short notice mein Aane lage notice mein tere bhai ke kisse Load kare shot kare video mein gaur kare Mere liye comments mein logon ki maa-behn kare Mere fans ne diya bohat pyar Haters ne mere liya rakha mangalvar Samachaar aaya Jatt Prabhjot ko mila pyar Tabhi to KTM se seedha le li BMW car Bana blogger na kisi ka naukar Din mein kaam khud ka shaam mein hoon shopper Hip hopper bhai mere sath Gurvansh Gujral gol maare jaise soccer Plan tha foolproof na khela main gambling Tumhare liye tough jaise carry of gavin Off road zindagi mein smooth rakhi handling Tumhein laga shot put maine javelin Subscribe karein dislike ke liye Face hide karein meri ek bite ke liye Lakhon mein views har video ko aate Haters ka aabhari main iss hype ke liye Door se dekh kar murjhane wale log aaj Door door se aate mujhe milne Purani tasveerein inbox mein bhej kar Aate banane nave nave rishte Jo na karte the follow Aaj tweet karte hain mere baare main Waise to manzil hai boht door Par kayi log humein ginte sitaaron mein Tumhare saame hai aaj mera kal Na yeh chamatkaar bas mehnat ka phal Aap sabhi ke pyar se haters gaye jal Aur main seekh gaya zindagi ka jeena har pal Haan manzil bohat door hai Par yeh mukaam mere liye kisi jeet se kam nahi Bure samay ko sahi banana hamare hath mein hota hai Bas sachche man se mehnat karte jao Aur pyar failate jao Isiliye main yeh kehta hoon Dua bani dawa Jahan kabhi socha na tha Wahan aaj hoon khada Jo na jaante the woh bhi aaj hain mere gawah Mata pita aur chahne walon ko dil se shukriya
The Manzil song lyrics is written by Gurvansh Gujral in the year 2020. It was sung by Tanya Mathur, Jatt Prabhjot Gurvansh Gujral, featuring Tanya Mathur, Jatt Prabhjot & Gurvansh Gujral. The details of Manzil song lyrics are given below:
Album: Manzil
Singer: Tanya Mathur, Jatt Prabhjot Gurvansh Gujral
Lyricist / Lyrics Writer: Gurvansh Gujral
Music / Music Composer: Blurface
Artists / Stars: Tanya Mathur, Jatt Prabhjot & Gurvansh Gujral
Music On: Jatt Prabhjot
Year: 2020