">
Mantoiyat lyrics from Manto (2018) movie is penned by Raftaar & Saadat Hasan Manto, sung by Raftaar, music composed by Raftaar, starring Nawazuddin Siddiqui, Rasika Dugal & Tahir Raj Bhasin.
Song Lyrics
Raftaar! Sawaal ye hai ke jo cheez jaisi hai Use waise hi pesh kyon na kiya jaye Main to apni kahaaniyon ko ek aaina samajhta hu Jismein samaaj apne aap ko dekh sake dekh sake Aaina na dekhna chahe samaaj mera Pooche mera kal na dekhte ye aaj mera Khodte kharodte ye meri galtiyan Main bhi chal diya Meri soch pe hai raj mera Kaan band aakhein band Inke muh pe taale Inpe zor na ke satya pe prakash daale Bole sach jo uske chehre pe tezaab daale Ghoome phir khule mein Aur jale to wo nakaab daale Off hai dimaag sabka off hai Zamana kya kahega iska hi to sabko khauf hai Dabke jeete hain dabaane ke ye aadi hain Nishedh hai to itni kyon aabaadi hai Log ye hain aatma se khokhle Khud kare to theek baaqi galat dogle Gaali de to Hindi mein To bolein aisa kyon kiya kyon hai cool jane galat kyon hai Kya is tarah ke alfaz hamein sadkon pe sunai nahi padte Manto ek insan hai Man Manto ek insan hai Manto ek insan hai Manto ek insan hai Mujh par ilzam hai Mujh par mujh par Mujh par ilzam hai Mujh par ilzam hai Manto ek insan hai Jaat mein ye baant te hain Baant ke ye kaat te hain Katne wale khaat pe hain Inki mauj raat mein hai Lal batti waali gaadi Glass inke hath mein hai Rajneeti mein hain chor Police inke saath mein Meri baat tumko sach nai lagti Sachchi baat tumko yaara pach nai sakti Mujhse nasamajh hain dugne meri age ke Ek pair kabra mein ye bhookhe hain dahej ke Betiyon ko maarte betiyan na paalte Betiyon pe dusron ki nazrein gandi daalte Ladkiyan pata ke unko bandi bolte hain aur Aur jo razi na ho unko saale r bolte hain Babaron se maa pe thos hath jo uthayega Bezuban bolne se pehle seekh jayega Mard tab banega jab tu aurtein dabayega Soch ye rahi to jaldi desh doob jayega Main society ki choli kya utarunga? Jo pehle se hi nangi hai Usse kapde pehnana mera kaam nahi hai Main kaali takhti par safed chhalk istemaal karta hu Taaki kaali takhti aur numaya ho jaaye Manto ek insan Main ghanton padha hai tumko Manto Tumhare jaisa banun kare mera mann to In bandon ko sach nai dikhta 70 saal azadi ke sach aaj bhi nai bikta Agar aap meri kahani ko bardaasht nahi kar sakte To iska matlab ye hai ki Ye zamana hi na-kabil-e-bardaasht hai
The Mantoiyat song lyrics is written by Raftaar & Saadat Hasan Manto in the year 2018. It was sung by Raftaar, featuring Nawazuddin Siddiqui, Rasika Dugal & Tahir Raj Bhasin. The details of Mantoiyat song lyrics are given below:
Movie: Manto
Singer: Raftaar
Lyricist / Lyrics Writer: Raftaar & Saadat Hasan Manto
Music / Music Composer: Raftaar
Artists / Stars: Nawazuddin Siddiqui, Rasika Dugal & Tahir Raj Bhasin
Music On: Zee Music Company
Year: 2018