Netaji Ka Jeevan Hai Lyrics

Netaji Ka Jeevan Hai lyrics from Samadhi (1950) movie is penned by Rajinder Krishan, sung by Chitalkar Ramchandra, music composed by Chitalkar Ramchandra, starring Ashok Kumar, Nalini Jaywant, Shyam, Kuldip Kaur, Harjeet Kumar, Sandhya, Shashi Kapoor, Mubarak.




2 1

Song Lyrics

ho netaji ka jiwan hai balidaan ki ek kahani
netaji ka jeewan hai balidaan ki ek kahani
balidaan hi balidaan hai bachpan aur jawani
bachpan aur jawani balidaan ki ek kahani
balidaan ki ek kahani

oye bachpan hi se chanchal man me armaano ka mela tha 
choti si ek lehar thi dil me toofano ka rela tha
college me ustaad jo tha vo tha london ka gora
are usne kaha college me ek din hindi kala log chichora
sher bose ka khoon jo khaula sher bose ka khun jo khola
gore ko ek chapat lagai naam kata college se lekin
hind ki laaj bachai netaji ka jeewan hai balidaan ki ek kahani
balidan hi balidan hai bachpan aur jawani
balidan ki ek kahani balidan ki ek kahani

maat pita ne samjhaya aur englishtan ko kiya rawana
bado ke aage bose naa bole lekin baagi dil naa mana
Europe me ICS ke imtihaan ko paas kiya
are itna uncha ohda paakar deshbakht ne chhod diya
fir hindsutan me aakar pehle gandhi ko pranaam kiya
Gandhi ko pranaam kiya Gandhi ko Pranaam kiya
vo desh ki sewa kaa bapu se pehla pehla sabak liya
pehla pehla sabak liya pehla pehla sabak liya
bharat ke dukh dard ko socha samjha aur pehchaana
kamar bandh kar ran me aaya aazadi ka deewana
aazadi ka deewana aazadi ka deewana kiya angrejo ne ye aid
kare is baaghi ko ab kaid kuchal daale masal daale
kuchal daale masal daale 

magar bachpan se jo baaghi ho
vo julm se darna kya jane jalne se kab ghabrate hai
shama watan ke parwaane jiski rag rag me shole ho
vo kya samjhe chingari ko hathkadiyon ko janzeero ko
jelo ki chaar diwari ko kadam kadam par mushkil aayi
lekin sher sada lalkara reh nahi sakta gair ke bas me
hidustaan hamara reh nahi sakta gair ke bas me
hidustaan hamara reh nahi sakta gair ke bas me
hidustaan hamara

sarkar ne kar dali nazar band jaban band
maidan ke jo mard hai hote hai kaha band
ek raat ko chupke hi se gum ho gye neta
shor hua subah kaha kho gaye neta
janta bhi thi hairan to sarkar bhi hairan
ud jane se bulbul ke tha saiyad pareshan
lekin mata ko ye ummid thi laut aayega beta
mata se kahe bina kaha jayega beta
is aas me darwaje bhi ghar ke na kiya band
aa jayega aa jayega vo laal vo parjand 
us maa se badi maa hai jo hindustan hai
vo chodd gaya maa ko badi maa ko chudane
is hind ki bigdi hui takdeer banane

badal sakani besh chala pardes chod kar desh hamara neta
badal sakani besh chala pardes chod kar desh hamara neta
aazadi ki nayi ladai ladne hamaara neta 
hindustan se kabul me aur kabul se london me
chalte chalte pahuch gaya vo singapur ke ran me
kom ki ye fauj ka naya tarana ban gaya
kom ki ye fauj ka naya tarana ban gaya
ek ek tinka chuna aur aashiyana ban gaya
jai gandhi jai subhash jai gandhi jai subhash
jai hind jai hind jai hind jai hind jai hind


Official Video Song



Song Details

The Netaji Ka Jeevan Hai song lyrics is written by Rajinder Krishan in the year 1950. It was sung by Chitalkar Ramchandra, featuring Ashok Kumar, Nalini Jaywant, Shyam, Kuldip Kaur, Harjeet Kumar, Sandhya, Shashi Kapoor, Mubarak. The details of Netaji Ka Jeevan Hai song lyrics are given below:

movie Movie: Samadhi

singer Singer: Chitalkar Ramchandra

lyricist Lyricist / Lyrics Writer: Rajinder Krishan

music Music / Music Composer: Chitalkar Ramchandra

artist Artists / Stars: Ashok Kumar, Nalini Jaywant, Shyam, Kuldip Kaur, Harjeet Kumar, Sandhya, Shashi Kapoor, Mubarak

music on Music On:

year Year: 1950


Netaji Ka Jeevan Hai lyrics from Samadhi

Samadhi Songs List

18
3
12
3
8
5
7
5
5
2
5
4
4
6
4
2
2
2
2
1