">
Insaan Bano lyrics from Baiju Bawra (1952) movie is penned by Shakeel Badayuni, sung by Mohammed Rafi, music composed by Naushad Ali, starring Bharat Bhushan, Meena Kumari, B M Vyas, Ratan Kumar.
Song Lyrics
nirdhan ka ghar lutne walo lut lo dil ka pyaar pyaar wo dhan hai jiske aage sab dhan hai bekaar insaan bano, insaan bano karlo bhalayi ka koi kaam insaan bano duniya se chale jaayega reh jaayega badnaam insaan bano o is baag me suraj bhi nikalta hai liye gam phulo ki hasi dekh ke ro deti hai shabnam kuch der ki khushiya hai to kuch der ka maatam kis neend mein ho kis neend me ho jaago zara dekh lo anjaam, insaan bano o laakho yahaan shaan apni dikhaate hue aaye dam bhar ke rahe naach gaye dhup me saaye vo bhul gaye the ke ye duniya hai saraay aata hai koi aata hai koi subah ko jaata hai koi shaam, insaan bano o kyo tumne bichhaaye hai yahaan zulm ke dere dhan saath naa jaayega bane kyo ho lutere peete ho garibo ka lahu shaam sawere khud paap karo khud paap karo naam ho shaitaan ka badnaam, insaan bano insaan bano karlo bhalayi ka koi kaam insaan bano duniya se chale jaayega rah jaayega badnaam insaan bano
The Insaan Bano song lyrics is written by Shakeel Badayuni in the year 1952. It was sung by Mohammed Rafi, featuring Bharat Bhushan, Meena Kumari, B M Vyas, Ratan Kumar. The details of Insaan Bano song lyrics are given below:
Movie: Baiju Bawra
Singer: Mohammed Rafi
Lyricist / Lyrics Writer: Shakeel Badayuni
Music / Music Composer: Naushad Ali
Artists / Stars: Bharat Bhushan, Meena Kumari, B M Vyas, Ratan Kumar
Music On: T-Series
Year: 1952