">
Allah Karam Karna lyrics from Dada (1979) movie is penned by Gauhar Kanpuri, sung by Suman Kalyanpur, music composed by Usha Khanna, starring Amjad Khan, Vijaya Chaudhary, Pallavi Joshi.
Song Lyrics
Hum sabko nek raah Chalana mere allaah Bandon ko buraai se Bachana mere allaah Allaah karam karna Maula tu reham karna Allaah karam karna Maula tu reham karna Ik vaakaya sunati hun Main apni zubaani Apne badon se maine Suni hai ye kahaani Rehta thaa kisi shehar Mein ek aisa bhi insaan Jo naam ka muslim tha Magar kaam ka shaitaan Zaalim ko zor e baazu Pe apne gurur tha Yaani ke bekhudi mein Khuda se wo dur tha Sab log use kehte the Jallaad sitamgar Masum ki fariyaad Ka us pe na tha asar Jo wada us ne kar liya Wo kar ke dikhaya Paison ke liye qatl Kiye khun bahaya Ik din wo behta khun Asar us pe kar gaya Insaan zinda ho gaya Shaitaan mar gaya [Allaah karam karna Maula tu reham karna] (x2) Imaan jise kehte hain Farmaan e khuda hai Quraan ke har lafz Mein us ki hi sadaa hai Allaah ne bakshi hai Jo imaan ki daulat Ye sab se badi cheez Hai insaan ki daulat Soye hue dilon ko Jagata hai ye imaan Bhatke huon ko raah Dikhata hai ye imaan Imaan ki garmi se Pighal jaate hain patthar Is nur se bante hain Sawarte hain muqaddar Jo sab se pyar karta Hai insaan wohi hai Muslim hai wohi Saahib e imaan wohi hai [Allaah karam karna Maula tu reham karna] (x2) Jis kaam ke karne pe Naa ho raazi koi dil Wo kaam bhi is duniya Mein nafrat ke hai kaabil Jo kuch bhi zubaan Keh de wo iqraar nahin hai Laghzish hai labon ki Wo gunehgaar nahin hai Jo dil se nahin karta Burayi ka irada Allaah se wo tauba Kare tod de wada Jaldi jo sambhal jaaye Wo nadaan nahin hai Imaan jis mein ho Wo beimaan nahin hai Duniya mein hamesha To nahin rehta andhera Insaan jahan jaage Wahin pe hai savera [Allaah karam karna Maula tu reham karna] (x2) Jo sacche dil se karta Hai imaan ki aarzoo Allaah ki nazaron mein Wo hotaa hai surkh ruh Imaan mein kya kya Na saha pyaare nabi ne Kya aisi musibat bhi Utthaayi hai kisi ne Karbal ke shahidon ne Sabak hum ko padhaya Sajde mein de ke jaan Ko imaan bachaya Iss raah mein jo sehte Hain taqlif o musibat Ik roz un pe hoti Hai allaah ki rehmat Insaan hai wo jo dusron Ka dil na dukhaye Pad jaaye agar jaan Pe to jaan lutaye [Allaah karam karna Maula tu reham karna] (x2)
The Allah Karam Karna song lyrics is written by Gauhar Kanpuri in the year 1979. It was sung by Suman Kalyanpur, featuring Amjad Khan, Vijaya Chaudhary, Pallavi Joshi. The details of Allah Karam Karna song lyrics are given below:
Movie: Dada
Singer: Suman Kalyanpur
Lyricist / Lyrics Writer: Gauhar Kanpuri
Music / Music Composer: Usha Khanna
Artists / Stars: Amjad Khan, Vijaya Chaudhary, Pallavi Joshi
Music On:
Year: 1979