">
Aaj Purani Raaho Se lyrics from Aadmi (1968) movie is penned by Shakeel Badayuni, sung by Mohammed Rafi, music composed by Naushad, starring Dilip Kumar.
Song Lyrics
aaj purani raaho se koyi mujhe aawaaj na de aaj purani raaho se koyi mujhe aawaaj na de dard me dube geet na de, gham ka sisakta saaj na de dard me dube geet na de, gham ka sisakta saaj na de bite dino ki yaad thi jinme, mai wo taraane bhul chuka aaj nayi manzil hai meri, kal ke thikaane bhul chuka na woh dil na sanam, na woh din dharam abb door hoon sare gunaaho se aaj purani raaho se koyi mujhe aawaaj na de toot chuke sab pyar ke bandhan, aaj koyi janjir nahi sheesha-e-dil me armaano ki, aaj koyi tasvir nahi ab shaad hu mai, aazad hu mai kuch kaam nahi hai aaho se aaj purani raahon se, koyi mujhe aawaaj na de dard me dube geet na de, gham ka sisakta saaj na de jivan badala duniya badali, mann ko anokha gyaan mila aaj mujhe apne hi dil me ek naya insaan mila pohucha hu waha, nahi door jaha bhagvaan bhi meri nigaaho se aaj purani raaho se koyi mujhe aawaaj na de
The Aaj Purani Raaho Se song lyrics is written by Shakeel Badayuni in the year 1968. It was sung by Mohammed Rafi, featuring Dilip Kumar. The details of Aaj Purani Raaho Se song lyrics are given below:
Movie: Aadmi
Singer: Mohammed Rafi
Lyricist / Lyrics Writer: Shakeel Badayuni
Music / Music Composer: Naushad
Artists / Stars: Dilip Kumar
Music On:
Year: 1968