">
Main Tuti Hui Ek Naiya Hu lyrics from Aadmi (1968) movie is penned by Shakeel Badayuni, sung by Mohammed Rafi, music composed by Naushad, starring Dilip Kumar, Waheeda Rehman.
Song Lyrics
main tuti hui ek naiya hu, mujhe chaahe jidhar le jaao main tuti hui ek naiya hu, mujhe chaahe jidhar le jaao jee chaahe dubo do maujo me ya saahil par le jaao main tuti hui ek naiya hu, mujhe chaahe jidhar le jaao ek tum hi sahara ho mera, jivan ki andheri raato me duniya ki khushi taqdir ka gum, sab kuch tumhare hatho me ab chaahe idhar le jaao mujhe ya chaahe udhar le jaao main tuti hui ek naiya hu, mujhe chaahe jidhar le jaao maayus najar majbur kadam, ujadaa hua aalam hai dil ka jina bhi yeh koi jina hai, muh dekh saku na manzil ka bite hue din mil jaaye jaha, mujhe aisi dagar le jaao ho mujhe aisi dagar le jaao main tuti hui ek naiya hu, mujhe chaahe jidhar le jaao aansu na bahaao mere liye, ghum mujhko akele sehne do tute na tumhara najuk dil, yeh dard mujhi tak rehne do ab chhod do mujhko raaho me ya dur nagar le jaao ya dur nagar le jaao main tuti hui ek naiya hu, mujhe chaahe jidhar le jaao
The Main Tuti Hui Ek Naiya Hu song lyrics is written by Shakeel Badayuni in the year 1968. It was sung by Mohammed Rafi, featuring Dilip Kumar, Waheeda Rehman. The details of Main Tuti Hui Ek Naiya Hu song lyrics are given below:
Movie: Aadmi
Singer: Mohammed Rafi
Lyricist / Lyrics Writer: Shakeel Badayuni
Music / Music Composer: Naushad
Artists / Stars: Dilip Kumar, Waheeda Rehman
Music On:
Year: 1968