Koi Nahi Mera Is Duniya Mein Lyrics

Koi Nahi Mera Is Duniya Mein lyrics from Daag (1952) movie is penned by Hasrat Jaipuri, sung by Talat Mahmood, music composed by Shankar Jaikishan, starring Dilip Kumar.




9 5

Song Lyrics

chaand ek beva ki chudi ki tarah tuta hua
har sitaara besahara soch me duba hua
gam ke baadal, ik janaaze ki tarah thahre huye
sisakiyo ke saaz par kahta hai dil rota hua
koi nahi mera is duniya me aashiya barbaad hai
aansu bhari mujhe qismat mili hai zindagi nashad hai
koi nahi mera is duniya me aashiya barbaad hai

ja hava tu rasta le apna, qismat hai meri ji ke tadpana
ja hava tu rasta le apna, qismat hai meri ji ke tadpana
aayi hai mere gam pe javaani, roti hui ik yaad hai
koi nahi mera is duniya me aashiya barbaad hai

sukh chuke hai aankho ke jharne, lut liya hame daag-e-jigar ne
sukh chuke hai aankho ke jharne, lut liya hame daag-e-jigar ne
phul nahi ye zakhm khile hain
phul nahi ye zakhm khile hain
aasamaan saiyaad hai, aasamaan saiyaad hai
koi nahi mera is duniya me aashiya barbaad hai
koi nahi mera is duniya me aashiya barbaad hai

mausam dukho ka sar par hai chhaaya
mujhse juda hai khud mera saaya
mausam dukho ka sar par hai chhaaya
mujhse juda hai khud mera saaya
hum hai akele gam ke hai mele, ruh ki fariyad hai
koi nahi mera is duniya me aashiya barbaad hai


Official Video Song



Song Details

The Koi Nahi Mera Is Duniya Mein song lyrics is written by Hasrat Jaipuri in the year 1952. It was sung by Talat Mahmood, featuring Dilip Kumar. The details of Koi Nahi Mera Is Duniya Mein song lyrics are given below:

movie Movie: Daag

singer Singer: Talat Mahmood

lyricist Lyricist / Lyrics Writer: Hasrat Jaipuri

music Music / Music Composer: Shankar Jaikishan

artist Artists / Stars: Dilip Kumar

music on Music On:

year Year: 1952


Koi Nahi Mera Is Duniya Mein lyrics from Daag

Daag Songs List

9
5
7
1
5
5
5
2
3
5
3
4
2
1