Zindagi Bhar Nahin Bhulegi (Duet) Lyrics

Zindagi Bhar Nahin Bhulegi (Duet) lyrics from Barsaat Ki Raat (1960) movie is penned by Sahir Ludhianvi, sung by Mohammed Rafi, Lata Mangeshkar, music composed by Roshan, starring Madhubala, Bharat Bhushan.




15 3

Song Lyrics

zindagi bhar nahi bhulegi vo barsaat ki raat
ek anjaan musafir se mulaakaat ki raat
zindagi bhar nahi bhulegi 

haay jis raat mere dil ne dhadakna sikha
shokh jazbaat ne sine me bhadakna sikha
meri taqadir se nikhari hui, ho
meri taqadir se nikhari hui sarmaat ki raat
zindagi bhar nahi bhulegi vo barsaat ki raat
zindagi bhar nahi bhulegi 

dil ne jab pyar ke rangin fasane chhede
aankho aankho ne wafao ke tarane chhede
sog me dub gai aaj wo
sog me dub gai aaj wo naghamaat ki raat
zindagi bhar nahi bhulegi 

ruthnewali ruthnewali meri baat se maayus na ho
bahke bahke khhayalaat se maayus na ho
khatm hogi na kabhi tere mere
khatm hogi na kabhi tere mere saath ki raat
zindagi bhar nahi bhulegi vo barsaat ki raat
ek anjaan hasina se mulaakaat ki raat
zindagi bhar nahi bhulegi


Official Video Song



Song Details

The Zindagi Bhar Nahin Bhulegi (Duet) song lyrics is written by Sahir Ludhianvi in the year 1960. It was sung by Mohammed Rafi, Lata Mangeshkar, featuring Madhubala, Bharat Bhushan. The details of Zindagi Bhar Nahin Bhulegi (Duet) song lyrics are given below:

movie Movie: Barsaat Ki Raat

singer Singer: Mohammed Rafi, Lata Mangeshkar

lyricist Lyricist / Lyrics Writer: Sahir Ludhianvi

music Music / Music Composer: Roshan

artist Artists / Stars: Madhubala, Bharat Bhushan

music on Music On:

year Year: 1960


Zindagi Bhar Nahin Bhulegi (Duet) lyrics from Barsaat Ki Raat

Barsaat Ki Raat Songs List