">
Watan Ke Naujawaan (Slow) lyrics from Shaheed (1948) movie is penned by Raja Mehdi Ali Khan, sung by Mohammed Rafi, Mastan, music composed by Ghulam Haider, starring Kamini Kaushal, Dilip Kumar.
Song Lyrics
[Watan ki raah mein Watan ke naujawaan shaheed ho Pukaarti hai yeh zameen O aasmaan shaheed ho] (x2) Watan ki raah mein Watan ke naujawaan shaheed ho Shaheed teri maut hi Tere watan ki zindagi Tere lahu se jaag uthegi Is chaman ki zindagi Khilenge phool us jagah pe Tu jahaan shaheed ho Watan ki raah mein Watan ke naujawaan shaheed ho Ghulaam uth watan ke Dushmano se intkaam le In apne dono baajuo se Khanjar kaa kaam le Chaman ke waaste Chaman ke baaghbaan shaheed ho Chaman ke baaghbaan shaheed ho Watan ki raah mein Watan ke naujawaan shaheed ho Pahaad tak bhi kaapne Lage tere junoon se Tu aasmaan pe inkalaab Likhde apne khoon se [Zameen nahi tera Watan hai aasmaan shaheed ho Watan ki raah mein Watan ke naujawaan shaheed ho] (x2) [Pukaarte hai yeh zameen O aasmaan shaheed ho] (x2) Watan ki raah mein Watan ke naujawaan shaheed ho Watan ki laaj jisko thi Azeez apni jaan se Woh naujawaan jaa raha hai Aaj kitni shaan se [Is ek jawaan ki khaak par Har ik jawaan shaheed ho] (x2) Watan ki raah mein Watan ke naujawaan shaheed ho Hai kaun khush naseeb maa Ki jiska yeh chiraag hai Chiraag hai Woh khushnaseeb hai kahaan Yeh jiske sar kaa taaj hai Amar woh desh kyun naa ho Ki tu jaha shaheed ho Watan ki raah mein Watan ke naujawaan shaheed ho Watan ki raah mein Watan ke naujawaan shaheed ho Shaheedon ki chitaaon par Lagenge har baras mele Watan par mitne walo ka Yahi naamo nishaan hoga Shaheed teri maut hi Tere watan ki zindagi Tere lahu se jag uthegi Is lahoo ki zindagi Khilenge phool us jahaan pe Jahaan tu shaheed ho Watan ki raah mein Watan ke naujawaan shaheed ho
The Watan Ke Naujawaan (Slow) song lyrics is written by Raja Mehdi Ali Khan in the year 1948. It was sung by Mohammed Rafi, Mastan, featuring Kamini Kaushal, Dilip Kumar. The details of Watan Ke Naujawaan (Slow) song lyrics are given below:
Movie: Shaheed
Singer: Mohammed Rafi, Mastan
Lyricist / Lyrics Writer: Raja Mehdi Ali Khan
Music / Music Composer: Ghulam Haider
Artists / Stars: Kamini Kaushal, Dilip Kumar
Music On:
Year: 1948