">
Sandese Aate Hai lyrics from Border (1997) movie is penned by Javed Akhtar, sung by Sonu Nigam, Roop Kumar Rathod, music composed by Anu Malik, starring Akshaye Khanna, Jackie Shroff, Pooja Bhatt, Rakhee, Sunil Shetty, Sunny Deol, Tabu.
Song Lyrics
[Chorus] Sandese aate hain hame tadpaate hain Jo chitthi aati hai vo puchh jaati hai Ke ghar kab aaoge Ke ghar kab aaoge likho kab aaoge Ke tum bin ye ghar soona soona hai [x2] Kisi dilwaali ne kisi matwaali ne Hame khat likkha hai Ki hamse poocha hai Kisi ki saason ne kisi ki dhadkan ne Kisi ki choodi ne kisi ke kangan ne Kisi ke kajre ne kisi ke gajre ne Mahekti subahon ne machalti shaamon ne Akeli raaton ne adhuri baaton ne tarasti baaho ne Aur poochha hai tarsi nighahon ne Ke ghar kab aaoge Ke ghar kab aaoge likho kab aaoge Ki tum bin ye dil soona soona hai Sandese aate hain hame tadpate hain Jo chitthi aati hai to pooche jaati hai Ke ghar kab aaoge Ke ghar kab aaoge likho kab aaoge Ki tum bin ye ghar soona soona hai Mohabbat walon ne hamare yaaron ne Hame ye likkha hai ke hamse poocha hai Hamare gaaon ne aam ki chaaon ne Puraane peepal ne baraste baadal ne Khet khaliayanon ne hare maidanon ne Basanti belon ne jhoomti belon ne Lachakte jhulon ne behakte phoolon ne Chatakti kaliyon ne Aur puchha hain gaaon ki galiyon ne Ke ghar kab aaoge likho kab aaoge Ke tum bin gaaon soona soona hai Sandese aate hain hame tadpate hain To chitthi aati hai to pooche jaati hai Ke ghar kab aaoge Ke ghar kab aaoge likho kab aaoge Ki tum bin ye ghar soona soona hai [Chorus] Kabhi ek mamta ki pyaar ki ganga ki Vo chitthi aati hai saath wo laati hai Mere din bachpan ke khel wo aangan ke Vo saaya aanchal ka wo teeka kaajal ka Vo lori raaton mein wo narmi haathon mein Vo chaahat aankhon mein wo chinta baaton mein Bigadna upar se mohabbat andar se Kare wo Devi Maa Yahin har khat mein poochhe meri maa Ke ghar kab aaoge Ke ghar kab aaoge likho kab aaoge Ki tum bin aangan soona soona hai Sandese aate hain hame tadpate hain Jo chitthi aati hai to pooche jaati hai Ke ghar kab aaoge Ke ghar kab aaoge likho kab aaoge Ki tum bin ye ghar soona soona hai Aye guzarne waali hawa bata Mera itna kaam karegi kya Mere gaanv jaa mere dosto ko salaam de Meri gaanv mein hai jo wo gali Jahaan rehti hai meri dilruba Use mere pyaar ka jaam de Use mere pyaar ka jaam de Wahin thodi door hai ghar mera Mere ghar mein hai meri boodhi maa Meri maa ke pairon ko chhoo ke tu Use uske beta ka naam de Ae guzarne waali hawa zara Mere doston meri dilruba Meri maa ko mera payaam de Unhe jaake tu ye payaam de Main wapas aaoonga Main wapas aaoonga Phir apne gaaon mein usi ke chaaon mein Ke maa ke aanchal se Gaanv ke peepal se kisi ke kaajal se Kiya jo waada tha wo nibhaunga [Main ek din aaoonga] x8
The Sandese Aate Hai song lyrics is written by Javed Akhtar in the year 1997. It was sung by Sonu Nigam, Roop Kumar Rathod, featuring Akshaye Khanna, Jackie Shroff, Pooja Bhatt, Rakhee, Sunil Shetty, Sunny Deol, Tabu. The details of Sandese Aate Hai song lyrics are given below:
Movie: Border
Singer: Sonu Nigam, Roop Kumar Rathod
Lyricist / Lyrics Writer: Javed Akhtar
Music / Music Composer: Anu Malik
Artists / Stars: Akshaye Khanna, Jackie Shroff, Pooja Bhatt, Rakhee, Sunil Shetty, Sunny Deol, Tabu
Music On: Venus
Year: 1997